hamāre haq meñ duā karegā
vo ik na ik din vafā karegā
bichhaḌ gayā hai magar yaqīñ hai
kabhī kabhī vo milā karegā
tū apne āshiq ko saath rakh le
bichhaḌ gayā to nasha karegā
jo apnī hālat kā ḳhud sabab ho
vo kyā kisī se gilā karegā
agar ye duniyā ujaḌ ga.ī to
kabhī ye sochā hai kyā karegā
maiñ jāntā huuñ ki ik farishta
jo zindagī se rihā karegā
abhī tū shā.ir nahīñ hai 'rāv'
ḳhudā vo din bhī atā karegā
hamare haq mein dua karega
wo ek na ek din wafa karega
bichhaD gaya hai magar yaqin hai
kabhi kabhi wo mila karega
tu apne aashiq ko sath rakh le
bichhaD gaya to nasha karega
jo apni haalat ka KHud sabab ho
wo kya kisi se gila karega
agar ye duniya ujaD gai to
kabhi ye socha hai kya karega
main jaanta hun ki ek farishta
jo zindagi se riha karega
abhi tu shair nahin hai 'raw'
KHuda wo din bhi ata karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.