hamare hote hote rah gae hain
hamāre hote hote rah ga.e haiñ
qasam se aap achchhe rah ga.e haiñ
hamāre paas aa baiThe the yūñhī
hamāre paas baiThe rah ga.e haiñ
tumhāre paas mere kuchh fasāne
vahīñ sofe pe rakkhe rah ga.e haiñ
ye terī kanda-kārī thī ki dil pe
tire alfāz likkhe rah ga.e haiñ
mire khetoñ se chiḌiyāñ uḌ ga.ī haiñ
mire khetoñ meñ kiiḌe rah ga.e haiñ
bahut jī chāhtā thā lauT jaa.eñ
tirī āñkhoñ ke sadqe rah ga.e haiñ
kise chāheñ to phir ye ishq hogā
ham us maktab meñ bachche rah ga.e haiñ
maiñ haft-aflāk se aage khaḌā huuñ
mire ghar-bār pīchhe rah ga.e haiñ
vo sab āñkheñ churā kar le gayā hai
hasīñ bante sañvarte rah ga.e haiñ
bahut sīkhe haiñ marne ke tarīqe
salīqe zindagī ke rah ga.e haiñ
hamare hote hote rah gae hain
qasam se aap achchhe rah gae hain
hamare pas aa baiThe the yunhi
hamare pas baiThe rah gae hain
tumhaare pas mere kuchh fasane
wahin sofe pe rakkhe rah gae hain
ye teri kanda-kari thi ki dil pe
tere alfaz likkhe rah gae hain
mere kheton se chiDiyan uD gai hain
mere kheton mein kiDe rah gae hain
bahut ji chahta tha lauT jaen
teri aankhon ke sadqe rah gae hain
kise chahen to phir ye ishq hoga
hum us maktab mein bachche rah gae hain
main haft-aflak se aage khaDa hun
mere ghar-bar pichhe rah gae hain
wo sab aankhen chura kar le gaya hai
hasin bante sanwarte rah gae hain
bahut sikhe hain marne ke tariqe
saliqe zindagi ke rah gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.