hamare jism agar raushni mein Dhal jaen
hamāre jism agar raushnī meñ Dhal jaa.eñ
tasavvurāt-e-zamān-o-makāñ badal jaa.eñ
hamāre biich hameñ DhūñDte phireñ ye log
ham apne-āp se aage kahīñ nikal jaa.eñ
ye kyā ba.iid kisī aane vaale lamhe meñ
hamāre lafz bhī tasvīr meñ badal jaa.eñ
ham aa.e roz nayā ḳhvāb dekhte haiñ magar
ye log vo nahīñ jo ḳhvāb se bahal jaa.eñ
ye log asiir haiñ kuchh aisī ḳhvāhishoñ ke 'razā'
jo titliyoñ kī tarah haath se nikal jaa.eñ
hamare jism agar raushni mein Dhal jaen
tasawwuraat-e-zaman-o-makan badal jaen
hamare bich hamein DhunDte phiren ye log
hum apne-ap se aage kahin nikal jaen
ye kya baid kisi aane wale lamhe mein
hamare lafz bhi taswir mein badal jaen
hum aae roz naya KHwab dekhte hain magar
ye log wo nahin jo KHwab se bahal jaen
ye log asir hain kuchh aisi KHwahishon ke 'raza'
jo titliyon ki tarah hath se nikal jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.