hamare pas bhi dil hai ye aksar bolte hain
hamāre paas bhī dil hai ye aksar bolte haiñ
mohabbat kar ke phūloñ se ye patthar bolte haiñ
kisī ke hoñTh par hañstī haiñ phūloñ kī davā.eñ
kisī kī aañkh meñ chhup kar samundar bolte haiñ
kabhī jis meñ shahanshāhoñ huzūroñ ne hukūmat kī
unhī mahloñ ko saare log khañDar bolte haiñ
vahāñ par chuur ho jaate hai sab sapne taraqqī ke
jahāñ bachche buzurgoñ ke barābar bolte haiñ
nahīñ Dar hai jo aa kar sāmne se vaar kartā ho
yahāñ kuchh log aise haiñ jo hañs kar bolte haiñ
hamare pas bhi dil hai ye aksar bolte hain
mohabbat kar ke phulon se ye patthar bolte hain
kisi ke honTh par hansti hain phulon ki dawaen
kisi ki aankh mein chhup kar samundar bolte hain
kabhi jis mein shahanshahon huzuron ne hukumat ki
unhi mahlon ko sare log khanDar bolte hain
wahan par chur ho jate hai sab sapne taraqqi ke
jahan bachche buzurgon ke barabar bolte hain
nahin Dar hai jo aa kar samne se war karta ho
yahan kuchh log aise hain jo hans kar bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.