hamare pas kai aur zawiye bhi hain
hamāre paas ka.ī aur zāviye bhī haiñ
ham apnī aañkh se duniyā ko dekhte bhī haiñ
chalo ki faisla kar leñ ham aaj aapas meñ
yahāñ pe sañg bhī maujūd aa.ine bhī haiñ
ye log sair ko nikle hue haiñ in se Daro
kabhī kabhī to ye phūloñ ko rauñdte bhī haiñ
abhī se ḳhvāb kashish bhar rahe haiñ āñkhoñ meñ
abhī to ishq meñ ham tum na.e na.e bhī haiñ
añdherā dekh ke ghabrā na jā.iye hazrat
ham apne ghar ko kisī din charāġhte bhī haiñ
ham ahl-e-dil bhī haiñ aur ahl-e-fan bhī haiñ 'jāved'
suḳhan kashīd bhī karte tarāshte bhī haiñ
hamare pas kai aur zawiye bhi hain
hum apni aankh se duniya ko dekhte bhi hain
chalo ki faisla kar len hum aaj aapas mein
yahan pe sang bhi maujud aaine bhi hain
ye log sair ko nikle hue hain in se Daro
kabhi kabhi to ye phulon ko raundte bhi hain
abhi se KHwab kashish bhar rahe hain aankhon mein
abhi to ishq mein hum tum nae nae bhi hain
andhera dekh ke ghabra na jaiye hazrat
hum apne ghar ko kisi din charaghte bhi hain
hum ahl-e-dil bhi hain aur ahl-e-fan bhi hain 'jawed'
suKHan kashid bhi karte tarashte bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.