hamare sath zamana bhi chalne lagta hai
hamāre saath zamāna bhī chalne lagtā hai
sitāre dekh ke rasta badalne lagtā hai
gumān aisā ki manzil milegī raste meñ
magar nayā sā jo rasta nikalne lagtā hai
gale to lagtā hai vo be-ḳhudī ke aalam meñ
zarā jo hosh meñ aa.e sambhalne lagtā hai
usī kā ḳhvāb hai āñkhoñ ke tapte sahrā meñ
usī kī yaad meñ dil bhī machalne lagtā hai
kisī kī yaad hamesha sambhāl rakkhūñ magar
lahū ke saath badan bhī to jalne lagtā hai
hamare sath zamana bhi chalne lagta hai
sitare dekh ke rasta badalne lagta hai
guman aisa ki manzil milegi raste mein
magar naya sa jo rasta nikalne lagta hai
gale to lagta hai wo be-KHudi ke aalam mein
zara jo hosh mein aae sambhalne lagta hai
usi ka KHwab hai aankhon ke tapte sahra mein
usi ki yaad mein dil bhi machalne lagta hai
kisi ki yaad hamesha sambhaal rakkhun magar
lahu ke sath badan bhi to jalne lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.