hamare sar pe tab koi jahan hota nahin tha
hamāre sar pe tab koī jahāñ hotā nahīñ thā
zamīñ hotī thī lekin āsmāñ hotā nahīñ thā
ham aksar khel meñ haare haiñ us se is tarah bhī
vahīñ par DhūñDte the vo jahāñ hotā nahīñ thā
nikalte the hamāre baat ke matlab hazāroñ
jo kahnā chāhte the vo bayāñ hotā nahīñ thā
maiñ ḳhālī vaqt meñ TuuTe sitāre joḌtā thā
tumhārā hijr aisā rā.egāñ hotā nahīñ thā
ḳhudā bhī saath rahtā thā hamāre is zamīñ par
ye tab kī baat hai jab āsmāñ hotā nahīñ thā
hamārī qurbateñ kyā thiiñ faqat ik vāqi.a thiiñ
aur aisā vāqi.a jo dāstāñ hotā nahīñ thā
hamare sar pe tab koi jahan hota nahin tha
zamin hoti thi lekin aasman hota nahin tha
hum aksar khel mein haare hain us se is tarah bhi
wahin par DhunDte the wo jahan hota nahin tha
nikalte the hamare baat ke matlab hazaron
jo kahna chahte the wo bayan hota nahin tha
main KHali waqt mein TuTe sitare joDta tha
tumhaara hijr aisa raegan hota nahin tha
KHuda bhi sath rahta tha hamare is zamin par
ye tab ki baat hai jab aasman hota nahin tha
hamari qurbaten kya thin faqat ek waqia thin
aur aisa waqia jo dastan hota nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.