Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare zaKHm-e-tamanna purane ho gae hain

Jaun Eliya

hamare zaKHm-e-tamanna purane ho gae hain

Jaun Eliya

hamāre zaḳhm-e-tamannā purāne ho ga.e haiñ

ki us galī meñ ga.e ab zamāne ho ga.e haiñ

tum apne chāhne vāloñ baat mat suniyo

tumhāre chāhne vaale divāne ho ga.e haiñ

vo zulf dhuup meñ furqat aa.ī hai jab yaad

to bādal aa.e haiñ aur shāmiyāne ho ga.e haiñ

jo apne taur se ham ne kabhī guzāre the

vo sub.h o shaam to jaise fasāne ho ga.e haiñ

ajab mahak thī mire gul tire shabistāñ

so bulbuloñ ke vahāñ āshiyāne ho ga.e haiñ

hamāre baa'd jo aa.eñ unheñ mubārak ho

jahāñ the kunj vahāñ kār-ḳhāne ho ga.e haiñ

hamare zaKHm-e-tamanna purane ho gae hain

ki us gali mein gae ab zamane ho gae hain

tum apne chahne walon ki baat mat suniyo

tumhaare chahne wale diwane ho gae hain

wo zulf dhup mein furqat ki aai hai jab yaad

to baadal aae hain aur shamiyane ho gae hain

jo apne taur se hum ne kabhi guzare the

wo subh o sham to jaise fasane ho gae hain

ajab mahak thi mere gul tere shabistan ki

so bulbulon ke wahan aashiyane ho gae hain

hamare ba'd jo aaen unhen mubarak ho

jahan the kunj wahan kar-KHane ho gae hain

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Jaun Eliya

Jaun Eliya

Jaun Eliya

Jaun Eliya

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

hamare zaKHm-e-tamanna purane ho gae hain Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now