hamare zarf ghaTte ja rahe hain
hamāre zarf ghaTte jā rahe haiñ
samundar ab simaTte jā rahe haiñ
ye tuġhyānī to ruktī hī nahīñ hai
kināre haiñ ki kaTte jā rahe haiñ
haqīqat un kī vāzeh ho rahī hai
dhuñdalke ab simaTte jā rahe haiñ
maiñ jin kī yaad se bhī huuñ gurezāñ
mire dil se lipaTte jā rahe haiñ
samajh meñ aa rahī haiñ us kī bāteñ
nazar se parde haTte jā rahe haiñ
vo khote jā rahe haiñ tāqat apnī
qabīloñ meñ jo bañTte jā rahe haiñ
'anīs' ab 'umr kī shaam aa chalī hai
varaq hastī ke phaTte jā rahe haiñ
hamare zarf ghaTte ja rahe hain
samundar ab simaTte ja rahe hain
ye tughyani to rukti hi nahin hai
kinare hain ki kaTte ja rahe hain
haqiqat un ki wazeh ho rahi hai
dhundalke ab simaTte ja rahe hain
main jin ki yaad se bhi hun gurezan
mere dil se lipaTte ja rahe hain
samajh mein aa rahi hain us ki baaten
nazar se parde haTte ja rahe hain
wo khote ja rahe hain taqat apni
qabilon mein jo banTte ja rahe hain
'anis' ab 'umr ki sham aa chali hai
waraq hasti ke phaTte ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.