hamare zehn ki koi jihat qayasi na thi
hamāre zehn kī koī jihat qayāsī na thī
umiid saath thī har gaam par udāsī na thī
ye sach hai kūcha-e-jānāñ se lauT aa.e ham
magar diloñ kī fazā itnī to siyāsī na thī
hayā thī āñkhoñ meñ sāñsoñ meñ thā vaqār bahut
hamāre ahd meñ sab kuchh thā be-libāsī na thī
sameT paa.e na aap apne hī vajūd ko ham
jo baat us ne kahī thī hameñ zarā sī na thī
hamīñ ne toḌ diye aa.ine gharoñ ke 'nazar'
kuchh aisī shahr-e-nigārāñ meñ bad-havāsī na thī
hamare zehn ki koi jihat qayasi na thi
umid sath thi har gam par udasi na thi
ye sach hai kucha-e-jaanan se lauT aae hum
magar dilon ki faza itni to siyasi na thi
haya thi aankhon mein sanson mein tha waqar bahut
hamare ahd mein sab kuchh tha be-libasi na thi
sameT pae na aap apne hi wajud ko hum
jo baat us ne kahi thi hamein zara si na thi
hamin ne toD diye aaine gharon ke 'nazar'
kuchh aisi shahr-e-nigaran mein bad-hawasi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.