hamare zehn mein mahshar bapa hai kya kiya jae
hamāre zehn meñ mahshar bapā hai kyā kiyā jaa.e
ye dil āmāda-e-tark-e-vafā hai kyā kiyā jaa.e
musalsal bārish-e-sañg-e-sadā hai kyā kiyā jaa.e
yahī merī vafāoñ kā sila hai kyā kiyā jaa.e
laboñ tak aa ke sab harf-e-shikāyat TuuT jaate haiñ
ajab andāz se vo dekhtā hai kyā kiyā jaa.e
bichhaḌ kar aap se jiine kī ḳhvāhish kufr hai lekin
hamārī zindagī hī be-hayā hai kyā kiyā jaa.e
ye maanā ḳhvāb hai ai zaḳhm-e-nau terī ḳhalish lekin
yahāñ pahle hī ik mela lagā hai kyā kiyā jaa.e
hamesha sochte rahnā bhī kuchh achchhā nahīñ hotā
magar shā.ir hamesha sochtā hai kyā kiyā jaa.e
vo insāñ jo mirā hamrāz hai ham-zād hai 'qaisar'
vo mujh se aaj tak nā-āshnā hai kyā kiyā jaa.e
hamare zehn mein mahshar bapa hai kya kiya jae
ye dil aamada-e-tark-e-wafa hai kya kiya jae
musalsal barish-e-sang-e-sada hai kya kiya jae
yahi meri wafaon ka sila hai kya kiya jae
labon tak aa ke sab harf-e-shikayat TuT jate hain
ajab andaz se wo dekhta hai kya kiya jae
bichhaD kar aap se jine ki KHwahish kufr hai lekin
hamari zindagi hi be-haya hai kya kiya jae
ye mana KHwab hai ai zaKHm-e-nau teri KHalish lekin
yahan pahle hi ek mela laga hai kya kiya jae
hamesha sochte rahna bhi kuchh achchha nahin hota
magar shair hamesha sochta hai kya kiya jae
wo insan jo mera hamraaz hai ham-zad hai 'qaisar'
wo mujh se aaj tak na-ashna hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.