hamari aankh mein do pal ki jo KHumari thi
hamārī aañkh meñ do pal kī jo ḳhumārī thī
udhārī thī vo tumheñ dekh kar utārī thī
hamāre shānoñ pe din bojh thā gharāne kā
safar meñ shaam kaTī raat be-qarārī thī
ḳhulūs naam kā panchhī tumhāre paas na thā
daġhā thā jhuuT thā tum meñ fareb-kārī thī
tumhāre baad na.e ḳhvāb kī talāsh meñ the
hamārī palkoñ pe vo ek raat bhārī thī
utārne meñ mirī umr sarf ho ga.ī hai
vo dil-lagī kī jo chhoTī sī ik udhārī thī
hamārī jaan ghulī jā rahī thī kyā yuuñ hī
badan meñ jaarī vahī rasm-e-jāñ-nisārī thī
hamari aankh mein do pal ki jo KHumari thi
udhaari thi wo tumhein dekh kar utari thi
hamare shanon pe din bojh tha gharane ka
safar mein sham kaTi raat be-qarari thi
KHulus nam ka panchhi tumhaare pas na tha
dagha tha jhuT tha tum mein fareb-kari thi
tumhaare baad nae KHwab ki talash mein the
hamari palkon pe wo ek raat bhaari thi
utarne mein meri umr sarf ho gai hai
wo dil-lagi ki jo chhoTi si ek udhaari thi
hamari jaan ghuli ja rahi thi kya yun hi
badan mein jari wahi rasm-e-jaan-nisari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.