hamari aankh mein naqsha ye kis makan ka hai
hamārī aañkh meñ naqsha ye kis makān kā hai
yahāñ kā saarā 'ilāqa to āsmān kā hai
hameñ nikalnā paḌā raat ke jazīre se
ḳhatar agarche is ik faisle meñ jaan kā hai
ḳhabar nahīñ hai ki dariyā meñ kashtī-e-jāñ hai
mu'āhida jo havāoñ se bādbān kā hai
tamām shahr pe ḳhāmoshiyāñ musallat haiñ
laboñ ko kholo ki ye vaqt imtihān kā hai
kahā hai us ne to guzregā jism se ho kar
yaqīn yuuñ hai vo pakkā bahut zabān kā hai
hamari aankh mein naqsha ye kis makan ka hai
yahan ka sara 'ilaqa to aasman ka hai
hamein nikalna paDa raat ke jazire se
KHatar agarche is ek faisle mein jaan ka hai
KHabar nahin hai ki dariya mein kashti-e-jaan hai
mu'ahida jo hawaon se baadban ka hai
tamam shahr pe KHamoshiyan musallat hain
labon ko kholo ki ye waqt imtihan ka hai
kaha hai us ne to guzrega jism se ho kar
yaqin yun hai wo pakka bahut zaban ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.