hamari aankh mein pani nahin hai
hamārī aañkh meñ paanī nahīñ hai
ye sahrā.ī hai bārānī nahīñ hai
yahāñ jiinā zarā dushvār hogā
yahāñ marne kī āsānī nahīñ hai
agar is kā koī saanī nahīñ hai
to phir ye kam pareshānī nahīñ hai
hameñ ārām aatā bhī to kaise
hamārī choT jismānī nahīñ hai
nahīñ mumkin mirā ābād honā
ki vīrānī sī vīrānī nahīñ hai
tujhe sun kar pareshānī to hogī
mujhe koī pareshānī nahīñ hai
hamari aankh mein pani nahin hai
ye sahrai hai barani nahin hai
yahan jina zara dushwar hoga
yahan marne ki aasani nahin hai
agar is ka koi sani nahin hai
to phir ye kam pareshani nahin hai
hamein aaram aata bhi to kaise
hamari choT jismani nahin hai
nahin mumkin mera aabaad hona
ki virani si virani nahin hai
tujhe sun kar pareshani to hogi
mujhe koi pareshani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.