hamari aankhon mein ashkon ka aa ke rah jaana
hamārī āñkhoñ meñ ashkoñ kā aa ke rah jaanā
jhukā ke sar ko tirā muskurā ke rah jaanā
dilā bahut na ulajh nāma-bar ko kyā maiñ ne
sikhā diyā thā ki jaanā to jā ke rah jaanā
shahīd-e-nāz kī bhūlī nahīñ mujhe sūrat
tirī taraf ko nigāheñ phirā ke rah jaanā
vo bazm-e-ġhair vo har baar iztirāb mirā
ba-maslahat vo tirā muskurā ke rah jaanā
Thahar to jā ruḳh-e-jānāñ pe ai nigah kuchh der
sanad nahīñ faqat aañsū bahā ke rah jaanā
nigāh-e-nāz se saaqī kā dekhnā mujh ko
mirā vo haath meñ sāġhar uThā ke rah jaanā
jo pūchheñ hashr meñ kuchh vo to haañ dilā shābāsh
vahāñ bhī tū yuuñ hī bāteñ banā ke rah jaanā
agar thā nashsha to girnā thā pā-e-ḳhum pe mujhe
mujhe pasand nahīñ laḌkhaḌā ke rah jaanā
nahīñ ye husn nahīñ baḳht kī hai kotāhī
savāl-e-vasl kā hoñToñ tak aa ke rah jaanā
kisī tarah to ye jism-e-kasīf paak ho shaad
galī meñ yaar kī jaanā to jā ke rah jaanā
hamari aankhon mein ashkon ka aa ke rah jaana
jhuka ke sar ko tera muskura ke rah jaana
dila bahut na ulajh nama-bar ko kya main ne
sikha diya tha ki jaana to ja ke rah jaana
shahid-e-naz ki bhuli nahin mujhe surat
teri taraf ko nigahen phira ke rah jaana
wo bazm-e-ghair wo har bar iztirab mera
ba-maslahat wo tera muskura ke rah jaana
Thahar to ja ruKH-e-jaanan pe ai nigah kuchh der
sanad nahin faqat aansu baha ke rah jaana
nigah-e-naz se saqi ka dekhna mujh ko
mera wo hath mein saghar uTha ke rah jaana
jo puchhen hashr mein kuchh wo to han dila shabash
wahan bhi tu yun hi baaten bana ke rah jaana
agar tha nashsha to girna tha pa-e-KHum pe mujhe
mujhe pasand nahin laDkhaDa ke rah jaana
nahin ye husn nahin baKHt ki hai kotahi
sawal-e-wasl ka honTon tak aa ke rah jaana
kisi tarah to ye jism-e-kasif pak ho shad
gali mein yar ki jaana to ja ke rah jaana
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 137)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.