hamari aankhon mein rahta hai KHatm hota nahin
hamārī āñkhoñ meñ rahtā hai ḳhatm hotā nahīñ
jo ham ne vāqi.a dekhā hai ḳhatm hotā nahīñ
har ik zamāne meñ ye log maare jaate haiñ
ye kaun logoñ kā nauha hai ḳhatm hotā nahīñ
tamāsha dekhne vāloñ kī āñkheñ jaatī rahīñ
magar ye kaisā tamāsha hai ḳhatm hotā nahīñ
pahuñchne vaalā huā kartā hai koī na koī
ik intizār kā arsa hai ḳhatm hotā nahīñ
na jaane kitnī hī rātoñ ke kaam aa gayā hai
baḌā hī gahrā añdherā hai ḳhatm hotā nahīñ
do-chār būḌhe bhī aa baiThte haiñ laḌkoñ meñ
vo jo purānā zamāna hai ḳhatm hotā nahīñ
hamari aankhon mein rahta hai KHatm hota nahin
jo hum ne waqia dekha hai KHatm hota nahin
har ek zamane mein ye log mare jate hain
ye kaun logon ka nauha hai KHatm hota nahin
tamasha dekhne walon ki aankhen jati rahin
magar ye kaisa tamasha hai KHatm hota nahin
pahunchne wala hua karta hai koi na koi
ek intizar ka arsa hai KHatm hota nahin
na jaane kitni hi raaton ke kaam aa gaya hai
baDa hi gahra andhera hai KHatm hota nahin
do-chaar buDhe bhi aa baiThte hain laDkon mein
wo jo purana zamana hai KHatm hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.