hamari baat unhen itni nagawar lagi
hamārī baat unheñ itnī nāgavār lagī
guloñ kī baat chhiḌī aur un ko ḳhaar lagī
bahut sambhāl ke ham ne rakhe the paañv magar
jahāñ the zaḳhm vahīñ choT bār-bār lagī
qadam qadam pe hidāyat milī safar meñ hameñ
qadam qadam pe hameñ zindagī udhār lagī
nahīñ thī qadr kabhī merī hasratoñ kī use
ye aur baat ki ab vo bhī be-qarār lagī
madad kā haath nahīñ ek bhī baḌhā thā magar
ajiib daur ki bas bhiiḌ be-shumār lagī
hamari baat unhen itni nagawar lagi
gulon ki baat chhiDi aur un ko KHar lagi
bahut sambhaal ke hum ne rakhe the panw magar
jahan the zaKHm wahin choT bar-bar lagi
qadam qadam pe hidayat mili safar mein hamein
qadam qadam pe hamein zindagi udhaar lagi
nahin thi qadr kabhi meri hasraton ki use
ye aur baat ki ab wo bhi be-qarar lagi
madad ka hath nahin ek bhi baDha tha magar
ajib daur ki bas bhiD be-shumar lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.