hamari chand se sohbat nahin ho pai koshish ki
hamārī chāñd se sohbat nahīñ ho paa.ī koshish kī
zamīn-e-hijr se hijrat nahīñ ho paa.ī koshish kī
bhulāyā bhī tumhārī yaad ko kuchh der tak lekin
kabhī ye mustaqil aadat nahīñ ho paa.ī koshish kī
tumhārī be-ruḳhī tum se ḳhrīdūñ aur bartūñ maiñ
magar tai koī bhī qīmat nahīñ ho paa.ī koshish kī
duā.eñ māñgte hī rah ga.e bārān-e-rahmat kī
falak se āmad-e-rahmat nahīñ ho paa.ī koshish kī
tumhāre ahd-e-ulfat kī ḳhilāfat maan lī dil ne
tumhāre ba.ad ye bai'at nahīñ ho paa.ī koshish kī
kahā us ne chale jaao to āḳhir ham chale aa.e
kisī farmān par hujjat nahīñ ho paa.ī koshish kī
hamari chand se sohbat nahin ho pai koshish ki
zamin-e-hijr se hijrat nahin ho pai koshish ki
bhulaya bhi tumhaari yaad ko kuchh der tak lekin
kabhi ye mustaqil aadat nahin ho pai koshish ki
tumhaari be-ruKHi tum se KHridun aur bartun main
magar tai koi bhi qimat nahin ho pai koshish ki
duaen mangte hi rah gae baran-e-rahmat ki
falak se aamad-e-rahmat nahin ho pai koshish ki
tumhaare ahd-e-ulfat ki KHilafat man li dil ne
tumhaare baad ye bai'at nahin ho pai koshish ki
kaha us ne chale jao to aaKHir hum chale aae
kisi farman par hujjat nahin ho pai koshish ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.