hamari fikr bhi KHasta hamare kar ghalat
hamārī fikr bhī ḳhasta hamāre kaar ġhalat
hamārī jast ne baḳhshā hameñ hisār ġhalat
kahīñ ye qalb-e-havādis kī taab lā na sake
kahīñ ye dil hī na le le koī qarār ġhalat
ye merā dil hai tamannā.eñ paal letā hai
huā hai is pe bhī saaya koī savār ġhalat
mujhe yaqīñ hai na ā.eñge merī turbat par
barā-e-fātiha chuniyegā kab mazār ġhalat
ye kis ne abrū-e-ḳhamdār se mujhe dekhā
kahāñ se aa ga.ī haq meñ mire bahār ġhalat
mire nasīb ke qausain ne diyā tohfa
kabhī to lail-e-musalsal kabhī nahār ġhalat
maiñ apnī auj kā tum ko hisāb kyā detā
mirī lakīr thī uljhī mirā madār ġhalat
maiñ apne zaḳhm-e-jigar soz-o-sāz kyuuñ likkhūñ
hazār baar ginā phir bhī hai shumār ġhalat
hamari fikr bhi KHasta hamare kar ghalat
hamari jast ne baKHsha hamein hisar ghalat
kahin ye qalb-e-hawadis ki tab la na sake
kahin ye dil hi na le le koi qarar ghalat
ye mera dil hai tamannaen pal leta hai
hua hai is pe bhi saya koi sawar ghalat
mujhe yaqin hai na aaenge meri turbat par
bara-e-fatiha chuniyega kab mazar ghalat
ye kis ne abru-e-KHamdar se mujhe dekha
kahan se aa gai haq mein mere bahaar ghalat
mere nasib ke qausain ne diya tohfa
kabhi to lail-e-musalsal kabhi nahaar ghalat
main apni auj ka tum ko hisab kya deta
meri lakir thi uljhi mera madar ghalat
main apne zaKHm-e-jigar soz-o-saz kyun likkhun
hazar bar gina phir bhi hai shumar ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.