hamari gham-e-ashiqi gar waba hai
hamārī ġham-e-āshiqī gar vabā hai
to kyā phir tire paas koī davā hai
tirī yaad kal raat phir aise guzrī
ki jaise guzartī ye pāgal havā hai
hameñ bhī batā nā hamārī tarah phir
kise terī afsurdagī kā pata hai
gila kyā kareñ chhoḌ jaane bhī de ab
rahe tū bulandī pe merī duā hai
tujhe kyā ḳhabar terī nārāzgī ne
razā-mandī ko kaise kaise chhuā hai
ab uktā rahe ham bhī haiñ āshiqī se
aur is par tirā shahar bhī nāravā hai
ḳhizāñ kā ye mausam ye bechainī 'hāmid'
yahī terī sāda-dilī key sazā hai
hamari gham-e-ashiqi gar waba hai
to kya phir tere pas koi dawa hai
teri yaad kal raat phir aise guzri
ki jaise guzarti ye pagal hawa hai
hamein bhi bata na hamari tarah phir
kise teri afsurdagi ka pata hai
gila kya karen chhoD jaane bhi de ab
rahe tu bulandi pe meri dua hai
tujhe kya KHabar teri naraazgi ne
raza-mandi ko kaise kaise chhua hai
ab ukta rahe hum bhi hain aashiqi se
aur is par tera shahar bhi narawa hai
KHizan ka ye mausam ye bechaini 'hamid'
yahi teri sada-dili key saza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.