hamari gardish-e-pa raston ke kaam aai
hamārī gardish-e-pā rāstoñ ke kaam aa.ī
kahīñ pe sub.h huī aur kahīñ pe shaam aa.ī
girāñ guzarne lagā thā sukūt-e-mai-ḳhāna
bahut dinoñ meñ sadā-e-shikast-e-jām aa.ī
kahāñ pe TuuTā thā rabt-e-kalām yaad nahīñ
hayāt duur talak ham se ham-kalām aa.ī
kisī ko terā tabassum milā kisī ko adā
hamāre naam tirī sohbatoñ kī shaam aa.ī
vahīñ pe barsā hai bādal jahāñ havā ne kahā
hamārī chhat pe to bārish barā.e-nām aa.ī
hamari gardish-e-pa raston ke kaam aai
kahin pe subh hui aur kahin pe sham aai
giran guzarne laga tha sukut-e-mai-KHana
bahut dinon mein sada-e-shikast-e-jam aai
kahan pe TuTa tha rabt-e-kalam yaad nahin
hayat dur talak hum se ham-kalam aai
kisi ko tera tabassum mila kisi ko ada
hamare nam teri sohbaton ki sham aai
wahin pe barsa hai baadal jahan hawa ne kaha
hamari chhat pe to barish barae-nam aai
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 288)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.