hamari hi badaulat aa gai hai
hamārī hī badaulat aa ga.ī hai
yahāñ tak jo sadāqat aa ga.ī hai
ḳhudā maiñ ho gayā phir ik tasādum
aqīdoñ meñ siyāsat aa ga.ī hai
abhī kal tak dar-e-tauba khulā thā
magar ab to qayāmat aa ga.ī hai
hamāre sabr kā sonā parakhne
yazīdoñ kī jamā.at aa ga.ī hai
koī terā ḳhalā pur kar na paayā
jahāñ terī zarūrat aa ga.ī hai
hamāre muntazir the laakh maqtal
magar tujh par tabī.at aa ga.ī hai
hamari hi badaulat aa gai hai
yahan tak jo sadaqat aa gai hai
KHuda main ho gaya phir ek tasadum
aqidon mein siyasat aa gai hai
abhi kal tak dar-e-tauba khula tha
magar ab to qayamat aa gai hai
hamare sabr ka sona parakhne
yazidon ki jamaat aa gai hai
koi tera KHala pur kar na paya
jahan teri zarurat aa gai hai
hamare muntazir the lakh maqtal
magar tujh par tabiat aa gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.