Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari is wafa par bhi dagha ki

Khwaja Mohammad Wazir

hamari is wafa par bhi dagha ki

Khwaja Mohammad Wazir

MORE BYKhwaja Mohammad Wazir

    hamārī is vafā par bhī daġhā

    qasam khaa.ī thī o kāfir ḳhudā

    vo musht-e-ustuḳhvāñ huuñ ai sag-e-yār

    agar khaa.e sa.ādat hai humā

    lab-e-shīrīñ jo bosa liyā thā

    mirī us shakar-rañjī rahā

    vafā se maiñ ne bhī ab haath uThāyā

    qasam hai mujh ko apne bevafā

    huī gar sulh bhī to bhī rahe jañg

    milā jab dil to aañkh us se laḌā

    faqīroñ ke qadam lete haiñ sultāñ

    ye hai tāsīr naqsh-e-boriyā

    tasavvur bañdh gayā jab us mizha

    to pahroñ dil pe barchhī lagā

    ḳhudā yuuñ jis ko chāhe de sa.ādat

    vagarna sag meñ ḳhaslat hai humā

    nahīñ uThtā hai sar sajde se merā

    magar hai sajda-gāh us ḳhāk-e-pā

    kahūñ jab maiñ ki be tere huuñ martā

    to kahtā hai vo but marzī ḳhudā

    na aayā minnatoñ se yaar jis dam

    to phir kyā kyā ajal ke iltijā

    hamari is wafa par bhi dagha ki

    qasam khai thi o kafir KHuda ki

    wo musht-e-ustuKHwan hun ai sag-e-yar

    agar khae saadat hai huma ki

    lab-e-shirin ka jo bosa liya tha

    meri us ki shakar-ranji raha ki

    wafa se main ne bhi ab hath uThaya

    qasam hai mujh ko apne bewafa ki

    hui gar sulh bhi to bhi rahe jang

    mila jab dil to aankh us se laDa ki

    faqiron ke qadam lete hain sultan

    ye hai tasir naqsh-e-boriya ki

    tasawwur bandh gaya jab us mizha ka

    to pahron dil pe barchhi si laga ki

    KHuda yun jis ko chahe de saadat

    wagarna sag mein KHaslat hai huma ki

    nahin uThta hai sar sajde se mera

    magar hai sajda-gah us KHak-e-pa ki

    kahun jab main ki be tere hun marta

    to kahta hai wo but marzi KHuda ki

    na aaya minnaton se yar jis dam

    to phir kya kya ajal ke iltija ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now