hamari kaif saza-war-e-ehtisab nahin
hamārī kaif sazā-vār-e-ehtisāb nahīñ
ḳhayāl-e-chashm hai kuchh sāġhar-e-sharāb nahīñ
vo be-naqāb huā hai to ye tamāshā hai
do-chār hone kī āñkhoñ meñ apnī taab nahīñ
ye mujh ko us ke taġhāful se hai yaqīn ki haa.e
javāb-nāme so ai naame kā javāb nahīñ
samā rahā hai yahāñ tak parī-ruḳhoñ kā jamāl
hamārī āñkhoñ meñ ḳhālī maqām-e-ḳhvāb nahīñ
butoñ ke parde meñ ham dekhte haiñ nūr-e-ḳhudā
ḳhudā ke dekhne kī ai kalīm taab nahīñ
vufūr-e-ashk se kyoñ hai gale talak paanī
hamārā kāsa-e-sar kāsa-e-habāb nahīñ
maiñ bazm-e-shāhid-o-sāqī meñ kyoñ na vajd karūñ
barā-e-zohd-o-vara.a ālam-e-shabāb nahīñ
kiyā hai daaġh ne kyoñ us ko manzil-e-ḳhurshīd
hamārā dil hai ye kuchh burj-e-āftāb nahīñ
huā hai mān-e-dīdār-e-yār parda-e-chashm
khulī jo aañkh to kuchh darmiyāñ hijāb nahīñ
ye zabt-e-girya meñ aalam hai be-qarārī kā
ki barq kauñdtī hai bārish-e-sahāb nahīñ
bashar ke jism meñ hai jaan māya-e-ġhaflat
so ai dīda-e-tasvīr kis ko ḳhvāb nahīñ
dilā hai mausam-e-pīrī mahal jām-e-sharāb
baġhair sub.h koī vaqt-e-āftāb nahīñ
maiñ ġhash se us ke chhiḌakte hī hoshiyār huā
kisī sanam kā pasīna hai ye gulāb nahīñ
bahut fareb se ham vahshiyoñ ko vahshat hai
hamāre dasht meñ 'nāsiḳh' kahīñ sarāb nahīñ
hamari kaif saza-war-e-ehtisab nahin
KHayal-e-chashm hai kuchh saghar-e-sharab nahin
wo be-naqab hua hai to ye tamasha hai
do-chaar hone ki aankhon mein apni tab nahin
ye mujh ko us ke taghaful se hai yaqin ki hae
jawab-name so ai name ka jawab nahin
sama raha hai yahan tak pari-ruKHon ka jamal
hamari aankhon mein KHali maqam-e-KHwab nahin
buton ke parde mein hum dekhte hain nur-e-KHuda
KHuda ke dekhne ki ai kalim tab nahin
wufur-e-ashk se kyon hai gale talak pani
hamara kasa-e-sar kasa-e-habab nahin
main bazm-e-shahid-o-saqi mein kyon na wajd karun
bara-e-zohd-o-wara aalam-e-shabab nahin
kiya hai dagh ne kyon us ko manzil-e-KHurshid
hamara dil hai ye kuchh burj-e-aftab nahin
hua hai man-e-didar-e-yar parda-e-chashm
khuli jo aankh to kuchh darmiyan hijab nahin
ye zabt-e-girya mein aalam hai be-qarari ka
ki barq kaundti hai barish-e-sahab nahin
bashar ke jism mein hai jaan maya-e-ghaflat
so ai dida-e-taswir kis ko KHwab nahin
dila hai mausam-e-piri mahal jam-e-sharab
baghair subh koi waqt-e-aftab nahin
main ghash se us ke chhiDakte hi hoshiyar hua
kisi sanam ka pasina hai ye gulab nahin
bahut fareb se hum wahshiyon ko wahshat hai
hamare dasht mein 'nasiKH' kahin sarab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.