hamari rah se palkon ko aashna rakhna
hamārī raah se palkoñ ko āshnā rakhnā
kabhī ham aa.eñ to ḳhvāboñ kā dar khulā rakhnā
hamesha milne milāne se vāsta rakhnā
kiyā hai pyaar to jaarī ye silsila rakhnā
qarīb aa ke zamāna fareb detā hai
jo ho sake to zamāne se fāsla rakhnā
nahīñ hai koī haqīqat-pasand duniyā meñ
kabhī kisī ke muqābil na aa.ina rakhnā
vo ḳhat jo likhte ho tum mere naam ḳhalvat meñ
mirā amal hai use paḌhnā chūmnā rakhnā
safar meñ huuñ mujhe tāḳhīr ho bhī saktī hai
satā.eñ hijr ke lamhe to hausla rakhnā
'nasīm' ho ga.e apne hī jab ki begāne
to ārzū-e-vafā bhī kisī se kyā rakhnā
hamari rah se palkon ko aashna rakhna
kabhi hum aaen to KHwabon ka dar khula rakhna
hamesha milne milane se wasta rakhna
kiya hai pyar to jari ye silsila rakhna
qarib aa ke zamana fareb deta hai
jo ho sake to zamane se fasla rakhna
nahin hai koi haqiqat-pasand duniya mein
kabhi kisi ke muqabil na aaina rakhna
wo KHat jo likhte ho tum mere nam KHalwat mein
mera amal hai use paDhna chumna rakhna
safar mein hun mujhe taKHir ho bhi sakti hai
sataen hijr ke lamhe to hausla rakhna
'nasim' ho gae apne hi jab ki begane
to aarzu-e-wafa bhi kisi se kya rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.