hamari tarah koi dusra hua bhi nahin
hamārī tarah koī dūsrā huā bhī nahīñ
vo dard dil meñ rakhā hai jo lā-davā bhī nahīñ
hamārā dard ajab marhale meñ hai ki jahāñ
vo be-suḳhan bhī nahīñ aur lab-kushā bhī nahīñ
usī ko dekhtī rahtī hai chashm-e-shauq mudām
jo ġham abhī sar-e-shāḳh-e-alam khulā bhī nahīñ
ajiib tarah se raushan huī hai ḳhalvat-e-ġham
ki raushnī hai bahut aur diyā jalā bhī nahīñ
ye dasht-e-shauq bahut āfiyat-gazīda hai
ki ab yahāñ pe to imkān-e-naqsh-e-pā bhī nahīñ
guzar hai kaisī fazāoñ se aaj tā.ir-e-ishq
ki zer-e-bāzū-e-parvāz ab ḳhalā bhī nahīñ
maiñ aise shaḳhs ko zindoñ meñ kyā shumār karūñ
jo sochtā bhī nahīñ ḳhvāb dekhtā bhī nahīñ
ye ishq ḳhaak hī hone kā naam thā so hameñ
sila milā bhī bahut aur sila milā bhī nahīñ
ye asr-e-nau kī chitāoñ meñ aag kaisī hai
ki ruuh raakh huī aur badan jalā bhī nahīñ
tamām umr ajab vaz.a-dāriyoñ meñ kaTī
use aziiz rakhā jo hamārā thā bhī nahīñ
hamari tarah koi dusra hua bhi nahin
wo dard dil mein rakha hai jo la-dawa bhi nahin
hamara dard ajab marhale mein hai ki jahan
wo be-suKHan bhi nahin aur lab-kusha bhi nahin
usi ko dekhti rahti hai chashm-e-shauq mudam
jo gham abhi sar-e-shaKH-e-alam khula bhi nahin
ajib tarah se raushan hui hai KHalwat-e-gham
ki raushni hai bahut aur diya jala bhi nahin
ye dasht-e-shauq bahut aafiyat-gazida hai
ki ab yahan pe to imkan-e-naqsh-e-pa bhi nahin
guzar hai kaisi fazaon se aaj tair-e-ishq
ki zer-e-bazu-e-parwaz ab KHala bhi nahin
main aise shaKHs ko zindon mein kya shumar karun
jo sochta bhi nahin KHwab dekhta bhi nahin
ye ishq KHak hi hone ka nam tha so hamein
sila mila bhi bahut aur sila mila bhi nahin
ye asr-e-nau ki chitaon mein aag kaisi hai
ki ruh rakh hui aur badan jala bhi nahin
tamam umr ajab waza-dariyon mein kaTi
use aziz rakha jo hamara tha bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.