hamari tarah tum taDpo to jaanen
hamārī tarah tum taḌpo to jāneñ
musalsal raat bhar jaago to jāneñ
vuzū merī tarah ashkoñ se kar ke
ġhazal ke baam tak pahuñcho to jāneñ
sabhī chehre yahāñ haiñ ek jaise
sitamgar kaun hai parkho to jāneñ
vo vahshī be-sabab chiñghāḌtā hai
banāo aadmī us ko to jāneñ
jalā kar ishq kī qindīl dil meñ
añdherī raah se guzro to jāneñ
havā-e-ġham idhar phir aa rahī hai
darīcha zehn kā kholo to jāneñ
bharā hai jis kī āñkhoñ meñ añdherā
use kahte ho kyoñ dekho to jāneñ
vo kyoñ rakhtā hai ab nefe meñ chāqū
'alīm' us se zarā pūchho to jāneñ
hamari tarah tum taDpo to jaanen
musalsal raat bhar jago to jaanen
wuzu meri tarah ashkon se kar ke
ghazal ke baam tak pahuncho to jaanen
sabhi chehre yahan hain ek jaise
sitamgar kaun hai parkho to jaanen
wo wahshi be-sabab chinghaDta hai
banao aadmi us ko to jaanen
jala kar ishq ki qindil dil mein
andheri rah se guzro to jaanen
hawa-e-gham idhar phir aa rahi hai
daricha zehn ka kholo to jaanen
bhara hai jis ki aankhon mein andhera
use kahte ho kyon dekho to jaanen
wo kyon rakhta hai ab nefe mein chaqu
'alim' us se zara puchho to jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.