hamari tarah uThaya hai kis ne gham tanha
hamārī tarah uThāyā hai kis ne ġham tanhā
ki un ke saath zamāna hai aur ham tanhā
vafā kī raah meñ kāñTe qadam qadam pe mile
mire sivā to chale koī do qadam tanhā
ye kis maqām pe le aa.ī zindagī apnī
sitam ke tiir hazāroñ haiñ aur ham tanhā
jidhar nigāh ga.ī ajnabī se chehre the
dayār-e-shauq meñ phirte haiñ aaj ham tanhā
hamāre baad nisār-e-vafā kahāñ koī
phire hai shahr meñ be-ābrū sitam tanhā
ḳhushī kī bhiik 'payāmī' na maañg ġhairoñ se
ki kaam vaqt pe aatā hai apnā ġham tanhā
hamari tarah uThaya hai kis ne gham tanha
ki un ke sath zamana hai aur hum tanha
wafa ki rah mein kanTe qadam qadam pe mile
mere siwa to chale koi do qadam tanha
ye kis maqam pe le aai zindagi apni
sitam ke tir hazaron hain aur hum tanha
jidhar nigah gai ajnabi se chehre the
dayar-e-shauq mein phirte hain aaj hum tanha
hamare baad nisar-e-wafa kahan koi
phire hai shahr mein be-abru sitam tanha
KHushi ki bhik 'payami' na mang ghairon se
ki kaam waqt pe aata hai apna gham tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.