hamari us se jo surat hui safai ki
hamārī us se jo sūrat huī safā.ī kī
hujūm-e-ġham ne adū par baḌī chaḌhā.ī kī
faqīr-e-mast tire hāl-e-vasl kyā jāneñ
ki oḌhe baiThe haiñ kamlī shab-e-judā.ī kī
gadā-e-kūcha-e-jānāñ huuñ martaba hai baḌā
ki mere naam hai jāgīr be-navā.ī kī
hamīñ to ālam-e-hastī meñ ik nikamme haiñ
tumhīñ meñ aa ga.iiñ sab ḳhūbiyāñ ḳhudā.ī kī
mile na kyuuñ tumheñ shāhoñ kā martaba 'āshiq'
bahut dinoñ dar-e-ḳhvāja pe hai gadā.ī kī
hamari us se jo surat hui safai ki
hujum-e-gham ne adu par baDi chaDhai ki
faqir-e-mast tere haal-e-wasl kya jaanen
ki oDhe baiThe hain kamli shab-e-judai ki
gada-e-kucha-e-jaanan hun martaba hai baDa
ki mere nam hai jagir be-nawai ki
hamin to aalam-e-hasti mein ek nikamme hain
tumhin mein aa gain sab KHubiyan KHudai ki
mile na kyun tumhein shahon ka martaba 'ashiq'
bahut dinon dar-e-KHwaja pe hai gadai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.