hamārī vo vafādārī ki tauba
aur us kī vo dil-āzārī ki tauba
mujhe ab maut behtar zindagī se
vo kī tum ne sitamgārī ki tauba
tirī zulfoñ ne sumbul ko chaman meñ
pakaḌ kar maar vo maarī ki tauba
na ḳhud soyā diyā un ko na sone
vo shab bhar maiñ ne kī zaarī ki tauba
'haqīr' is dil ke hāthoñ maiñ ne ab ke
uThā.ī aisī bīmārī ki tauba
hamari wo wafadari ki tauba
aur us ki wo dil-azari ki tauba
mujhe ab maut behtar zindagi se
wo ki tum ne sitamgari ki tauba
teri zulfon ne sumbul ko chaman mein
pakaD kar mar wo mari ki tauba
na KHud soya diya un ko na sone
wo shab bhar main ne ki zari ki tauba
'haqir' is dil ke hathon main ne ab ke
uThai aisi bimari ki tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.