haman hain ishq mastana haman ko hoshiyari kya
haman haiñ ishq mastāna haman ko hoshiyārī kyā
raheñ āzād yā jag se haman duniyā se yaarī kyā
jo bichhḌe haiñ piyāre se bhaTakte dar-ba-dar phirte
hamārā yaar hai ham meñ haman ko intizārī kyā
ḳhalaq sab naam apne ko bahut kar sar paTaktā hai
haman gar naam sāñcha hai haman duniyā se yaarī kyā
na pal bichhḌeñ piyā ham se na ham bichhḌe piyāre se
unhīñ se neh laagī hai haman ko be-qarārī kyā
'kabīrā' ishq kā maatā duī ko duur kar dil se
jo chalnā raah nāzuk hai haman sar bojh bhārī kyā
haman hain ishq mastana haman ko hoshiyari kya
rahen aazad ya jag se haman duniya se yari kya
jo bichhDe hain piyare se bhaTakte dar-ba-dar phirte
hamara yar hai hum mein haman ko intizari kya
KHalaq sab nam apne ko bahut kar sar paTakta hai
haman gar nam sancha hai haman duniya se yari kya
na pal bichhDen piya hum se na hum bichhDe piyare se
unhin se neh lagi hai haman ko be-qarari kya
'kabira' ishq ka mata dui ko dur kar dil se
jo chalna rah nazuk hai haman sar bojh bhaari kya
- Book : Ghazal Usne Chhedi (Part-1) (Pg. 23)
- Publication : Rekhta Books (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.