hamein ahl-e-zamana DhunDte hain
hameñ ahl-e-zamāna DhūñDte haiñ
koī taaza nishāna DhūñDte haiñ
abhī tak ham koī unvān-e-tāza
sar-e-shahr-e-fasāna DhūñDte haiñ
hamārī hī tarah uTh kar savere
parinde āb-o-dāna DhūñDte haiñ
zamīñ ab ho ga.ī maskan purānā
nayā koī Thikāna DhūñDte haiñ
charāġh-e-ḳhūn-e-dil ham to jalā kar
mazāmīñ kā ḳhazāna DhūñDte haiñ
musalmāñ ho ke bhī ham gul-ruḳhoñ meñ
adā.eñ kāfirāna DhūñDte haiñ
abhī kuchh log aise haiñ jo 'shāhid'
vahī pahlā zamāna DhūñDte haiñ
hamein ahl-e-zamana DhunDte hain
koi taza nishana DhunDte hain
abhi tak hum koi unwan-e-taza
sar-e-shahr-e-fasana DhunDte hain
hamari hi tarah uTh kar sawere
parinde aab-o-dana DhunDte hain
zamin ab ho gai maskan purana
naya koi Thikana DhunDte hain
charagh-e-KHun-e-dil hum to jala kar
mazamin ka KHazana DhunDte hain
musalman ho ke bhi hum gul-ruKHon mein
adaen kafirana DhunDte hain
abhi kuchh log aise hain jo 'shahid'
wahi pahla zamana DhunDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.