hamein bhi muskurana chahiye tha
hameñ bhī muskurānā chāhiye thā
magar koī bahāna chāhiye thā
mohabbat rail kī paTrī nahīñ thī
kahīñ to moḌ aanā chāhiye thā
tire kāñdhe pe rakh kar sar kisī din
hameñ bhī bhuul jaanā chāhiye thā
mirī laġhzish ḳhudā se kyuuñ shikāyat
are mujh ko batānā chāhiye thā
ye tum ne ḳhud ko patthar kar liyā kyuuñ
mirī jaañ TuuT jaanā chāhiye thā
hamī kyā toḌte saarī ḳhamoshī
tumheñ bhī gungunānā chāhiye thā
hamein bhi muskurana chahiye tha
magar koi bahana chahiye tha
mohabbat rail ki paTri nahin thi
kahin to moD aana chahiye tha
tere kandhe pe rakh kar sar kisi din
hamein bhi bhul jaana chahiye tha
meri laghzish KHuda se kyun shikayat
are mujh ko batana chahiye tha
ye tum ne KHud ko patthar kar liya kyun
meri jaan TuT jaana chahiye tha
hami kya toDte sari KHamoshi
tumhein bhi gungunana chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.