hamein har sans dushwari lage hai
hameñ har saañs dushvārī lage hai
magar ye zindagī pyārī lage hai
tumheñ dhokā sahar kā hai to hogā
hameñ to raat añdhiyārī lage hai
mire malbūs par chhīñTe lahū ke
tire dāman kī gul-kārī lage hai
zabāñ shāyad yahī shorafā kī Thahre
tumheñ jo aaj bāzārī lage hai
vafā kyā hai ye tum us dil se pūchho
ki jis dil ko ye bīmārī lage hai
mire qātil ko yārab hausla de
mujhe kāñdhoñ pe sar bhārī lage hai
ġhazal 'asrār' hotī hai mukammal
ki dil par choT jab kaarī lage hai
hamein har sans dushwari lage hai
magar ye zindagi pyari lage hai
tumhein dhoka sahar ka hai to hoga
hamein to raat andhiyari lage hai
mere malbus par chhinTe lahu ke
tere daman ki gul-kari lage hai
zaban shayad yahi shorafa ki Thahre
tumhein jo aaj bazari lage hai
wafa kya hai ye tum us dil se puchho
ki jis dil ko ye bimari lage hai
mere qatil ko yarab hausla de
mujhe kandhon pe sar bhaari lage hai
ghazal 'asrar' hoti hai mukammal
ki dil par choT jab kari lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.