hamein jab kaam se fursat milegi
hameñ jab kaam se fursat milegī
tumheñ us vaqt hī chāhat milegī
janāze par zarūr aanā hamāre
vahāñ tum ko na.ī ibrat milegī
hamārī dhaḌkanoñ ko sunñe vaale
yahāñ har pal tumheñ hairat milegī
rivāyat se bhalā kab munharif haiñ
in āñkhoñ meñ magar jiddat milegī
tumhārā naam katbe par likhā hai
hamārī qabr ko shohrat milegī
bahāvalpur se 'az.har' naam lenā
tumheñ har halqe meñ izzat milegī
hameñ kab eid se matlab hai 'kāmil'
use dekheñge to rāhat milegī
hamein jab kaam se fursat milegi
tumhein us waqt hi chahat milegi
janaze par zarur aana hamare
wahan tum ko nai ibrat milegi
hamari dhaDkanon ko sunne wale
yahan har pal tumhein hairat milegi
riwayat se bhala kab munharif hain
in aankhon mein magar jiddat milegi
tumhaara nam katbe par likha hai
hamari qabr ko shohrat milegi
bahawalpur se 'azhar' nam lena
tumhein har halqe mein izzat milegi
hamein kab eid se matlab hai 'kaamil'
use dekhenge to rahat milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.