hamein junun diya aur tu hosh-mand hua
hameñ junūn diyā aur tū hosh-mand huā
isī qarīn se yāram tū sar-buland huā
hamārā naġhma samā.at pe kyoñ garāñ guzrā
ki terā zahr-e-halāhal hameñ to qand huā
jo jā nikalte the gaahe tirī galī kī taraf
ye jashn-e-chashm bhī muddat huī hai band huā
ye kaj-kulāh tirī bārgah kā bāj-guzār
ki us kā tiir tire haath kī kamand huā
use hai raas ye daa.im mirā rukū-o-sujūd
mirī razā se vo but ḳhuub bahra-mand huā
hamein junun diya aur tu hosh-mand hua
isi qarin se yaram tu sar-buland hua
hamara naghma samaat pe kyon garan guzra
ki tera zahr-e-halahal hamein to qand hua
jo ja nikalte the gahe teri gali ki taraf
ye jashn-e-chashm bhi muddat hui hai band hua
ye kaj-kulah teri bargah ka baj-guzar
ki us ka tir tere hath ki kamand hua
use hai ras ye daim mera ruku-o-sujud
meri raza se wo but KHub bahra-mand hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.