hamein kahti hai duniya zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar wale
hameñ kahtī hai duniyā zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar vaale
zarā tum bhī to dekho ham ko tum bhī ho nazar vaale
nazar ā.eñge naqsh-e-pā jahāñ us fitnagar vaale
chaleñge sar ke bal rasta vahāñ ke rahguzar vaale
sitam-ījādiyoñ kī shaan meñ baTTā na aa jaa.e
na karnā bhuul kar tum jaur charḳh-e-kīna-var vaale
jafā-o-jaur-e-gul-chīñ se chaman mātam-kada sā hai
phaḌakte haiñ qafas kī tarah āzādī meñ par vaale
alif se tā-ba-yā lillāh afsāna sunā diije
janāb-e-mūsa-e-imrāñ vahī hairat-nagar vaale
hameñ mālūm hai ham mānte haiñ ham ne sīkhā hai
dil āzurda huā karte haiñ az had chashm-e-tar vaale
kaTāne ko galā āThoñ pahr maujūd rahte haiñ
vo dil vaale jigar vaale sahī ham bhī haiñ sar vaale
tamāshā dekh kar duniyā kā 'sā.el' ko huī hairat
ki takte rah ga.e bad-gauharoñ kā muñh guhar vaale
hamein kahti hai duniya zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar wale
zara tum bhi to dekho hum ko tum bhi ho nazar wale
nazar aaenge naqsh-e-pa jahan us fitnagar wale
chalenge sar ke bal rasta wahan ke rahguzar wale
sitam-ijadiyon ki shan mein baTTa na aa jae
na karna bhul kar tum jaur charKH-e-kina-war wale
jafa-o-jaur-e-gul-chin se chaman matam-kada sa hai
phaDakte hain qafas ki tarah aazadi mein par wale
alif se ta-ba-ya lillah afsana suna dije
janab-e-musa-e-imran wahi hairat-nagar wale
hamein malum hai hum mante hain hum ne sikha hai
dil aazurda hua karte hain az had chashm-e-tar wale
kaTane ko gala aaThon pahr maujud rahte hain
wo dil wale jigar wale sahi hum bhi hain sar wale
tamasha dekh kar duniya ka 'sael' ko hui hairat
ki takte rah gae bad-gauharon ka munh guhar wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.