hamein KHabar hai wo kyon humse ab nahin milta
hameñ ḳhabar hai vo kyoñ ham se ab nahīñ miltā
yahāñ kisī se koī be-sabab nahīñ miltā
phir āftāb kahāñ apnī raushnī bāñTe
na.e charāġhoñ meñ husn-e-talab nahīñ miltā
batā rahī haiñ adīboñ ke ghar kī tahzībeñ
virāsatoñ meñ sabhī ko adab nahīñ miltā
maiñ jalne lagtā huuñ tanhā.iyoñ ke dozaḳh meñ
kabhī vo merī zarūrat pe jab nahīñ miltā
udaas mat ho jo hāsil na kar sakā us ko
kabhī kisī ko zamāne meñ sab nahīñ miltā
hai zaat aap kī taḳhlīq-e-do-jahāñ kā sabab
na milte aap hameñ ham ko rab nahīñ miltā
hamein KHabar hai wo kyon hum se ab nahin milta
yahan kisi se koi be-sabab nahin milta
phir aaftab kahan apni raushni banTe
nae charaghon mein husn-e-talab nahin milta
bata rahi hain adibon ke ghar ki tahziben
wirasaton mein sabhi ko adab nahin milta
main jalne lagta hun tanhaiyon ke dozaKH mein
kabhi wo meri zarurat pe jab nahin milta
udas mat ho jo hasil na kar saka us ko
kabhi kisi ko zamane mein sab nahin milta
hai zat aap ki taKHliq-e-do-jahan ka sabab
na milte aap hamein hum ko rab nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.