hamein KHabar hai wo mehman ek raat ka hai
hameñ ḳhabar hai vo mehmān ek raat kā hai
hamāre paas bhī sāmān ek raat kā hai
safīne barsoñ na rakkheñge sāhiloñ pe qadam
tumheñ gumāñ hai ki tūfān ek raat kā hai
hai ek shab kī iqāmat sarā-e-duniyā meñ
ye saarā khel mirī jaan ek raat kā hai
khulegī aañkh to samjhoge ḳhvāb dekhā thā
ye saarā khel mirī jaan ek raat kā hai
tumhārī shaan hamārī bisāt kyā hai yahāñ
shikoh-e-ḳhusrav-e-ḳhāqān ek raat kā hai
bas ek shab kā ujālā hai us ke dāman meñ
ki ye charāġh nigahbān ek raat kā hai
hamein KHabar hai wo mehman ek raat ka hai
hamare pas bhi saman ek raat ka hai
safine barson na rakkhenge sahilon pe qadam
tumhein guman hai ki tufan ek raat ka hai
hai ek shab ki iqamat sara-e-duniya mein
ye sara khel meri jaan ek raat ka hai
khulegi aankh to samjhoge KHwab dekha tha
ye sara khel meri jaan ek raat ka hai
tumhaari shan hamari bisat kya hai yahan
shikoh-e-KHusraw-e-KHaqan ek raat ka hai
bas ek shab ka ujala hai us ke daman mein
ki ye charagh nigahban ek raat ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.