hamein koi gham nahin tha gham-e-ashiqi se pahle
hameñ koī ġham nahīñ thā ġham-e-āshiqī se pahle
na thī dushmanī kisī se tirī dostī se pahle
hai ye merī bad-nasībī tirā kyā qusūr is meñ
tire ġham ne maar Daalā mujhe zindagī se pahle
mirā pyaar jal rahā are chāñd aaj chhup jā
kabhī pyaar thā hameñ bhī tirī chāñdnī se pahle
maiñ kabhī na muskurātā jo mujhe ye ilm hotā
ki hazār ġham mileñge mujhe ik ḳhushī se pahle
ye ajiib imtihāñ hai ki tumhīñ ko bhūlnā hai
mile kab the is tarah ham tumheñ be-dilī se pahle
hamein koi gham nahin tha gham-e-ashiqi se pahle
na thi dushmani kisi se teri dosti se pahle
hai ye meri bad-nasibi tera kya qusur is mein
tere gham ne mar Dala mujhe zindagi se pahle
mera pyar jal raha are chand aaj chhup ja
kabhi pyar tha hamein bhi teri chandni se pahle
main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilm hota
ki hazar gham milenge mujhe ek KHushi se pahle
ye ajib imtihan hai ki tumhin ko bhulna hai
mile kab the is tarah hum tumhein be-dili se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.