hamein mila na kabhi soz-e-zindagi se faragh
hameñ milā na kabhī soz-e-zindagī se farāġh
agar bujhā hai kahīñ dil to jal uThā hai dimāġh
vahī hayāt jo nairañg-e-ḳhār-o-gul hai kabhī
kabhī khilā.e tamannā hai jo na dasht na baaġh
jahāñ bhī kho.e ga.e qāfile irādoñ ke
vahīñ se mujh ko milā terī anjuman kā surāġh
guzar rahī hai ajab tarah zindagī 'ālī'
na bujh rahā hai charāġh aur na jal rahā hai charāġh
hamein mila na kabhi soz-e-zindagi se faragh
agar bujha hai kahin dil to jal uTha hai dimagh
wahi hayat jo nairang-e-KHar-o-gul hai kabhi
kabhi khilae tamanna hai jo na dasht na bagh
jahan bhi khoe gae qafile iradon ke
wahin se mujh ko mila teri anjuman ka suragh
guzar rahi hai ajab tarah zindagi 'ali'
na bujh raha hai charagh aur na jal raha hai charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.