hamein nafrat hai aisi zindagi se
hameñ nafrat hai aisī zindagī se
ta.alluq hī na ho jis ko ḳhushī se
ilāhī kyā zamāna aa gayā hai
hai nafrat aadmī ko aadmī se
baḌhī hai aur dil kī be-qarārī
kahā hai hāl-e-dil jab bhī kisī se
hamārī sādgī par ġhaur kījiye
shikāyat aap kī aur aap hī se
unheñ shikva hai 'āsī' zindagī kā
nahīñ hai jin ko ulfat zindagī se
hamein nafrat hai aisi zindagi se
talluq hi na ho jis ko KHushi se
ilahi kya zamana aa gaya hai
hai nafrat aadmi ko aadmi se
baDhi hai aur dil ki be-qarari
kaha hai haal-e-dil jab bhi kisi se
hamari sadgi par ghaur kijiye
shikayat aap ki aur aap hi se
unhen shikwa hai 'asi' zindagi ka
nahin hai jin ko ulfat zindagi se
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 63)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.