hamein nahin aate ye kartab nae zamane wale
hameñ nahīñ aate ye kartab na.e zamāne vaale
ham to sīdhe log haiñ yaaro vahī purāne vaale
un ke hote koī kamī hai rātoñ kī raunaq meñ
yādeñ ḳhvāb dikhāne vaalī ḳhvāb suhāne vaale
kahāñ ga.iiñ rangīn patañgeñ laTTū kāñch ke bañTe
ab to khel bhī bachchoñ ke haiñ dil dahlāne vaale
vo āñchal se ḳhushbū kī lapTeñ bikhrāte paikar
vo chilman kī oT se chehre chhab dikhlāne vaale
baam pe jaane vaale jāneñ us mahfil kī bāteñ
ham to Thahre us kūche meñ ḳhaak uḌāne vaale
jab guzroge un rastoñ se taptī dhuup meñ tanhā
tumheñ bahut yaad ā.eñge ham saa.e bichhāne vaale
tum tak shāyad der se pahuñche mirā mohazzab lahja
pahle zarā ḳhāmosh to hoñ ye shor machāne vaale
ham jo kaheñ so kahne denā sanjīda mat honā
ham to haiñ hī shā'ir baat se baat banāne vaale
achchhā pahlī baar kisī ko merī fikr huī hai
maiñ ne bahut dekhe haiñ tum jaise samjhāne vaale
aise labālab kab bhartā hai har ummīd kā kaasa
mujh ko hasrat se takte haiñ aane jaane vaale
saffākī meñ ek se haiñ sab jin ke saath bhī jaao
kā'be vaale is jānib haiñ vo but-ḳhāne vaale
mire shahr meñ maañg ab to bas un logoñ kī hai
kafan banāne vaale yā murde nahlāne vaale
giit rasīle bol sajīle kahāñ sunoge ab tum
ab to kahtā hai 'irfān' bhī she'r rulāne vaale
hamein nahin aate ye kartab nae zamane wale
hum to sidhe log hain yaro wahi purane wale
un ke hote koi kami hai raaton ki raunaq mein
yaaden KHwab dikhane wali KHwab suhane wale
kahan gain rangin patangen laTTu kanch ke banTe
ab to khel bhi bachchon ke hain dil dahlane wale
wo aanchal se KHushbu ki lapTen bikhraate paikar
wo chilman ki oT se chehre chhab dikhlane wale
baam pe jaane wale jaanen us mahfil ki baaten
hum to Thahre us kuche mein KHak uDane wale
jab guzroge un raston se tapti dhup mein tanha
tumhein bahut yaad aaenge hum sae bichhane wale
tum tak shayad der se pahunche mera mohazzab lahja
pahle zara KHamosh to hon ye shor machane wale
hum jo kahen so kahne dena sanjida mat hona
hum to hain hi sha'ir baat se baat banane wale
achchha pahli bar kisi ko meri fikr hui hai
main ne bahut dekhe hain tum jaise samjhane wale
aise labaalab kab bharta hai har ummid ka kasa
mujh ko hasrat se takte hain aane jaane wale
saffaki mein ek se hain sab jin ke sath bhi jao
ka'be wale is jaanib hain wo but-KHane wale
mere shahr mein mang ab to bas un logon ki hai
kafan banane wale ya murde nahlane wale
git rasile bol sajile kahan sunoge ab tum
ab to kahta hai 'irfan' bhi she'r rulane wale
- Book : Takrar-e-imkaa.n (Pg. 60)
- Author : Irfan Sattar
- Publication : Dehleez Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.