hamein ras aani hai rahon ki gaThri
hameñ raas aanī hai rāhoñ kī gaThrī
rakho paas apnī panāhoñ kī gaThrī
badal jaa.e kaash is hasīñ marhale par
hamārī tumhārī gunāhoñ kī gaThrī
mohabbat kī rāheñ thiiñ hamvār lekin
hamīñ Dho na paa.e nibāhoñ kī gaThrī
takalluf ke sāmān bikhre the bāham
so bāñdhe rahe ham bhī bāñhoñ kī gaThrī
ujāle ke haiñ in dinoñ daam ūñche
chalo luuT leñ rū-siyāhoñ kī gaThrī
dharī rah ga.ī munsif-e-dil ke aage
bayānoñ kī gaThrī gavāhoñ kī gaThrī
na uglī hī jaa.e na nigale bane hai
gale meñ phañsī ek aahoñ kī gaThrī
ye sūkhī huī fasl-e-ġham jī uThegī
agar khul ga.ī in nigāhoñ kī gaThrī
uTheñgī kisī roz sailāb ban kar
ye ābādiyāñ haiñ tabāhoñ kī gaThrī
mirī sīdhī saadī sī bātoñ pe mat jā
mirī zaat hai kaj-kulāhoñ kī gaThrī
hamein ras aani hai rahon ki gaThri
rakho pas apni panahon ki gaThri
badal jae kash is hasin marhale par
hamari tumhaari gunahon ki gaThri
mohabbat ki rahen thin hamwar lekin
hamin Dho na pae nibahon ki gaThri
takalluf ke saman bikhre the baham
so bandhe rahe hum bhi banhon ki gaThri
ujale ke hain in dinon dam unche
chalo luT len ru-siyahon ki gaThri
dhari rah gai munsif-e-dil ke aage
bayanon ki gaThri gawahon ki gaThri
na ugli hi jae na nigale bane hai
gale mein phansi ek aahon ki gaThri
ye sukhi hui fasl-e-gham ji uThegi
agar khul gai in nigahon ki gaThri
uThengi kisi roz sailab ban kar
ye aabaadiyan hain tabahon ki gaThri
meri sidhi sadi si baaton pe mat ja
meri zat hai kaj-kulahon ki gaThri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.