hamein safina-e-hasti ka rahnuma na mila
hameñ safīna-e-hastī kā rahnumā na milā
ḳhudā ko saath liyā koī nāḳhudā na milā
sukūn-e-qalb milā be-niyāziyāñ pā.īñ
uThā.e haath jo terī taraf to kyā na milā
kisī kī shirkat-e-aġhyār kab gavārā thī
ḳhudā kā shukr koī dard-āshnā na milā
taḌap taḌap ke tire bismiloñ ne maqtal meñ
baḌhā.e haath magar dāman-e-qazā na milā
milī thī aañkh to phir tāb-e-dīd bhī miltī
tajalliyoñ ke tamāsha meñ kuchh mazā na milā
thā iztirāb meñ vo lutf-e-zindagī muzmar
phir us ke baad kisī baat meñ mazā na milā
tumhārī shoḳhī-e-taqrīr kā to kyā kahnā
javāb saaf kabhī merī baat kā na milā
nigāh sharm se nīchī rahī pashemāñ kī
vo be-vafā jo milā bhī to be-vafā na milā
sharīk-e-hāl ab ahbāb tak nahīñ hote
'shamīm' ham ko bhī qismat se kyā zamāna milā
hamein safina-e-hasti ka rahnuma na mila
KHuda ko sath liya koi naKHuda na mila
sukun-e-qalb mila be-niyaziyan pain
uThae hath jo teri taraf to kya na mila
kisi ki shirkat-e-aghyar kab gawara thi
KHuda ka shukr koi dard-ashna na mila
taDap taDap ke tere bismilon ne maqtal mein
baDhae hath magar daman-e-qaza na mila
mili thi aankh to phir tab-e-did bhi milti
tajalliyon ke tamasha mein kuchh maza na mila
tha iztirab mein wo lutf-e-zindagi muzmar
phir us ke baad kisi baat mein maza na mila
tumhaari shoKHi-e-taqrir ka to kya kahna
jawab saf kabhi meri baat ka na mila
nigah sharm se nichi rahi pasheman ki
wo be-wafa jo mila bhi to be-wafa na mila
sharik-e-haal ab ahbab tak nahin hote
'shamim' hum ko bhi qismat se kya zamana mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.