hamein thoDi bataya ja raha hai
hameñ thoḌī batāyā jā rahā hai
añdhere ko baḌhāyā jā rahā hai
kabhī ham ghar banā.eñge yahāñ par
abhī naqsha banāyā jā rahā hai
bhalā kyoñ dhund chhaTtī jā rahī hai
kise manzar pe laayā jā rahā hai
banegā mas.ala tab dekh leñge
abhī tak to banāyā jā rahā hai
kamāñ meñ tiir bhī khīñchā huā hai
parinda bhī uḌāyā jā rahā hai
chale bhī aao ab tāvīl kaisī
mohabbat se bulāyā jā rahā hai
ajab ik ā.ina-ḳhāna hai 'ārib'
mujhe mujh se milāyā jā rahā hai
hamein thoDi bataya ja raha hai
andhere ko baDhaya ja raha hai
kabhi hum ghar banaenge yahan par
abhi naqsha banaya ja raha hai
bhala kyon dhund chhaTti ja rahi hai
kise manzar pe laya ja raha hai
banega masala tab dekh lenge
abhi tak to banaya ja raha hai
kaman mein tir bhi khincha hua hai
parinda bhi uDaya ja raha hai
chale bhi aao ab tawil kaisi
mohabbat se bulaya ja raha hai
ajab ek aaina-KHana hai 'arib'
mujhe mujh se milaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.