hamein to intizari aur hi thi
hameñ to intizārī aur hī thī
magar bād-e-bahārī aur hī thī
sañbhaltā kyā sambhāle se tumhāre
ki dil ko be-qarārī aur hī thī
thī mere ḳhvāb se bāhar bhī duniyā
magar saarī kī saarī aur hī thī
sabhī kuchh thā hamāre dil ke bas meñ
magar be-iḳhtiyārī aur hī thī
hamārā dil koī shīsha nahīñ thā
par ab ke sañg-bārī aur hī thī
jiye garche isī duniyā meñ ham bhī
magar duniyā hamārī aur hī thī
hamein to intizari aur hi thi
magar baad-e-bahaari aur hi thi
sanbhalta kya sambhaale se tumhaare
ki dil ko be-qarari aur hi thi
thi mere KHwab se bahar bhi duniya
magar sari ki sari aur hi thi
sabhi kuchh tha hamare dil ke bas mein
magar be-iKHtiyari aur hi thi
hamara dil koi shisha nahin tha
par ab ke sang-bari aur hi thi
jiye garche isi duniya mein hum bhi
magar duniya hamari aur hi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.