hamein to KHair koi dusra achchha nahin lagta
hameñ to ḳhair koī dūsrā achchhā nahīñ lagtā
unheñ ḳhud bhī koī apne sivā achchhā nahīñ lagtā
nahīñ gar naġhma-e-shādī nafīr-e-ġham sahī koī
ki sāz-e-zindagānī be-sadā achchhā nahīñ lagtā
hameñ ye band kamroñ kā makāñ kuchh bhā gayā itnā
ki ham ko ab koī āñgan khulā achchhā nahīñ lagtā
kuchh itnī talḳh us din ho ga.ī thī guftugū un se
ka.ī din se zabāñ kā zā.iqa achchhā nahīñ lagtā
kabhī nazdīk aa kar rū-ba-rū bhī hoñ mulāqāteñ
ki ham-sāyoñ meñ itnā fāsla achchhā nahīñ lagtā
kaThin rastoñ pe chalnā apnī uftād-e-tabī.at hai
hameñ āsān koī rāstā achchhā nahīñ lagtā
ise ham marsiya-goyoñ pe 'mohsin' chhoḌ dete haiñ
likheñ ham aap apnā marsiya achchhā nahīñ lagtā
hamein to KHair koi dusra achchha nahin lagta
unhen KHud bhi koi apne siwa achchha nahin lagta
nahin gar naghma-e-shadi nafir-e-gham sahi koi
ki saz-e-zindagani be-sada achchha nahin lagta
hamein ye band kamron ka makan kuchh bha gaya itna
ki hum ko ab koi aangan khula achchha nahin lagta
kuchh itni talKH us din ho gai thi guftugu un se
kai din se zaban ka zaiqa achchha nahin lagta
kabhi nazdik aa kar ru-ba-ru bhi hon mulaqaten
ki ham-sayon mein itna fasla achchha nahin lagta
kaThin raston pe chalna apni uftad-e-tabiat hai
hamein aasan koi rasta achchha nahin lagta
ise hum marsiya-goyon pe 'mohsin' chhoD dete hain
likhen hum aap apna marsiya achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.