hamein tum pe guman-e-wahshat tha hum logon ko ruswa kiya tumne
hamein tum pe guman-e-wahshat tha hum logon ko ruswa kiya tumne
Ibn e Insha
MORE BYIbn e Insha
hameñ tum pe gumān-e-vahshat thā ham logoñ ko rusvā kiyā tum ne
abhī fasl guloñ kī nahīñ guzrī kyuuñ dāman-e-chāk siyā tum ne
is shahr ke log baḌe hī saḳhī baḌā maan kareñ durveshoñ kā
par tum se to itne barham haiñ kyā aan ke maañg liyā tum ne
kin rāhoñ se ho kar aa.ī ho kis gul kā sandesa laa.ī ho
ham baaġh meñ ḳhush ḳhush baiThe the kyā kar diyā aa ke sabā tum ne
vo jo qais ġharīb the un kā junūñ sabhī kahte haiñ ham se rahā hai fuzūñ
hameñ dekh ke hañs to diyā tum ne kabhī dekhe haiñ ahl-e-vafā tum ne
ġham-e-ishq meñ kaarī davā na duā ye hai rog kaThin ye hai dard burā
ham karte jo apne se ho saktā kabhī ham se bhī kuchh na kahā tum ne
ab rah-rav-e-māñda se kuchh na kaho haañ shaad raho ābād raho
baḌī der se yaad kiyā tum ne baḌī dard se dī hai sadā tum ne
ik baat kaheñge 'inshā'-jī tumheñ reḳhta kahte umr huī
tum ek jahāñ kā ilm paḌhe koī 'mīr' sā sher kahā tum ne
hamein tum pe guman-e-wahshat tha hum logon ko ruswa kiya tum ne
abhi fasl gulon ki nahin guzri kyun daman-e-chaak siya tum ne
is shahr ke log baDe hi saKHi baDa man karen durweshon ka
par tum se to itne barham hain kya aan ke mang liya tum ne
kin rahon se ho kar aai ho kis gul ka sandesa lai ho
hum bagh mein KHush KHush baiThe the kya kar diya aa ke saba tum ne
wo jo qais gharib the un ka junun sabhi kahte hain hum se raha hai fuzun
hamein dekh ke hans to diya tum ne kabhi dekhe hain ahl-e-wafa tum ne
gham-e-ishq mein kari dawa na dua ye hai rog kaThin ye hai dard bura
hum karte jo apne se ho sakta kabhi hum se bhi kuchh na kaha tum ne
ab rah-raw-e-manda se kuchh na kaho han shad raho aabaad raho
baDi der se yaad kiya tum ne baDi dard se di hai sada tum ne
ek baat kahenge 'insha'-ji tumhein reKHta kahte umr hui
tum ek jahan ka ilm paDhe koi 'mir' sa sher kaha tum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.