Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein un se mohabbat hai zarurat se ziyaada hi

Aditya Shrivastava Shafaq

hamein un se mohabbat hai zarurat se ziyaada hi

Aditya Shrivastava Shafaq

MORE BYAditya Shrivastava Shafaq

    hameñ un se mohabbat hai zarūrat se ziyādā

    unheñ ham se shikāyat hai zarūrat se ziyāda

    sitāre rashk karte haiñ nazāre rashk karte haiñ

    mirī jaañ ḳhūbsūrat hai zarūrat se ziyāda

    milā hai ham-navā aisā jo merā ham-zabāñ bhī hai

    pasand us ko bhī 'sarvat' hai zarūrat se ziyāda

    farishtoñ ko sunā.ūñgā maiñ barg-e-gul ke afsāne

    kahānī meñ sadāqat hai zarūrat se ziyāda

    ḳhalāoñ meñ chalā jaatā huuñ aksar ghūmne ko maiñ

    zamīñ par phailī nafrat hai zarūrat se ziyāda

    virāsat meñ bhalā legī bhī kyā nasl-e-far-o-māya

    ġhazal meñ bhī siyāsat hai zarūrat se ziyāda

    ġhazal sapne meñ kahne aa.ī thī kal baat ye mujh se

    mujhe terī zarūrat hai zarūrat se ziyāda

    nakīr-o-munkir-o-rizvāñ suneñge sher ab mere

    'shafaq' in ko chāhat hai zarūrat se ziyāda

    hamein un se mohabbat hai zarurat se ziyaada hi

    unhen hum se shikayat hai zarurat se ziyaada hi

    sitare rashk karte hain nazare rashk karte hain

    meri jaan KHubsurat hai zarurat se ziyaada hi

    mila hai ham-nawa aisa jo mera ham-zaban bhi hai

    pasand us ko bhi 'sarwat' hai zarurat se ziyaada hi

    farishton ko sunaunga main barg-e-gul ke afsane

    kahani mein sadaqat hai zarurat se ziyaada hi

    KHalaon mein chala jata hun aksar ghumne ko main

    zamin par phaili nafrat hai zarurat se ziyaada hi

    wirasat mein bhala legi bhi kya nasl-e-far-o-maya

    ghazal mein bhi siyasat hai zarurat se ziyaada hi

    ghazal sapne mein kahne aai thi kal baat ye mujh se

    mujhe teri zarurat hai zarurat se ziyaada hi

    nakir-o-munkir-o-rizwan sunenge sher ab mere

    'shafaq' ki in ko chahat hai zarurat se ziyaada hi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now